|
|
|
|
|
|
|
|
Thumb |
Song Heading |
Singer / Movie |
Music By / Lyricist |
Actor / Category |
|
Video of the song from youtube |
Advertisements |
|
|
Lyrics of Hath Seeta Ka Ram Ko (Male) - हाथ सीता का राम को hath seeta ka ram ko diya
hath seeta ka ram ko diya
janak raja denge aur kya
beti babul ke dil ka tukda
beti babul ke dil ka tukda
dahej kaha isse bada
hath seeta ka ram ko diya
janak raja denge aur kya
ishwar ka vardan hai beti
gharwalo ki jaan hai beti
ye pagdi babul ke sar ki
laaj hai sare ghar ki
daan kanya ka jisne diya
daan kanya ka jisne diya
mayya rani degi or kya
beti maa ke dil ka tukda
dahej kaha isse bada
hath seeta ka ram ko diya
janak raja denge aur kya
rupwati gunwanti gahna
iske aage kya koi gahna
ye naate hai man ke naate
dhan se na jode jaate
pyari bahna ka gahna diya
pyari bahna ka gahna diya
bhaiya raja denge or kya
bahna bhai ke dil ka tukda
dahej kaha isse bada
hath seeta ka ram ko diya
hath seeta ka ram ko diya
janak raja denge aur kya
beti babul ke dil ka tukda
dahej kaha isse bada
hath seeta ka ram ko diya
janak raja denge aur kya
Ghar Sansar |
Film cast: | Jeetendra, Kader Khan, Lalita Pawar, Gulshan Grover, Shreeram Lagoo, Rajesh Puri, Sulochna, Sridevi, Aruna Irani, Ranjeet, Kajal Kiran, Bharat Bhushan, Agha, Pinchoo Kapoor, Anjana Mumtaz | Singer: | Sadhana Sargam, Anuradha Paudwal, Mohammed Aziz, Kishore Kumar, Alka Yagnik | Lyricist: | Indeevar | Music Director: | Rajesh Roshan | Film Director: | K Bapaiah | Film Producer: | Vimal Kumar | External Links: | Ghar Sansar at IMDB |
|
|
|
|
|